Monday, 20 February 2012

New Poetry

1.
Nigahon Ke Tasadum Se Ajab Takraar Karti Hai,
Yaqeen Qaamil Nahi Lekin Gumaan Hai Pyaar Karti Hai"

"Use Maloom Hai Shayad Mera DIL Hai Nishane Per,
Labon Se Kuch Nahi Kehti Nazar Se Waar Karti Hai"

"Main Us Se Pochta Hon Khwab Mein, 'Mujh Se Mohabat Hai ?'
Phir Aankhein Khol Deta Hoon.. Woh Jab Izhaar Karti Hai ...♥

♥ลก♥

2.
Zara si der ko aaye the khaawb aaNkhoN me
Phir us ke bad musalsal azaab aaNkhoN me

Wo jis ke naam ki nisbat se raushani tha wujood
Khattak rahaa hai wohi aaftaab aaNkhoN me

Jinhen mata-E-dil-O-jaN samajh rahe the hum
Wo aa’iine bhi hue behijaab aaNkhoN me

Ajab tarah ka hai mausam K khak uRti hai
Wo din bhi the k khile the gulaab aaNkhoN me

Mere Ghazaal teri wahshaton ki khair, K hai
Bahut dinoN se bahut iztaraab aaNkhoN me

Na jane kaisi qayaamat ka peshkhema hai
Ye uljhaneN teri be-intasaab aaNkhoN me


3.
Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye
Badi Chot Khai Javani Peh Roye

Javani Peh Roye

Na Socha Na Samajha, Na Dekha Na Bhala
Teri Aarzoo Ne, Hume Mar Dala
Tere Pyar Ki Meherbani Peh Roye
Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye
Badi Chot Khai Javani Peh Roye

Javani Peh Roye

Khabar Kya Thi Honto Ko Seena Padega
Mohabbat Chupa Kar Bhi, Jeena Padega
Jiye To Magar Zindagani Pe Roye

Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye
Badi Chot Khai Javani Peh Roye

4.
Besabab chor diya tummy koi ILzam dia hota.
Meri Khamosh muhabbat ko koi NAAM dia hota,

Main mar Q na gaya teri Narazagi sy pehly,
Mujhy chorna tha to koi Laqb-E-Budnaam dya hota,

Main Umar bhar k liye nahi kehta k mera 7 dedo,
Bs jine ko koi dilasa kisi Sham diya hota,

Tumhain pane ki talab mei kitna roya dil e Muztar…,
Rat bhar jagny ki ibadat ka koi INA’AM diya hota


5.
Teri ankhon ka ye kajal bara anmol lagta hy,
Teri zulfo ka ye badal bara anmol lagta hy,

Bara masoom sa hy ye tere chehre ka bhola pan,
Tera wo shok chanchal dil bara anmol lagta hy,

Tere pairon ki wo payal tere hathon ka wo kangan,
Wo jhumka tere kaano ka bara anmol lagta hy,

Jo milty ho mujhse rahon mn to diljhoom uthta hy,
Zara se sath ka wo pal bara anmol lagta hy,

Wo kaghaz pe tera naam likhna or mita dena
Mujhy ye khud ka pagal pan bara anmol lagta hy..


6.
Ab Mohabbat ki Wakalat Nai Ki Ja Sakti,
Shehr Bhr se to Adawat Nai Ki Ja Sakti,
.
Mera Chehra Meri Aankhen hain Salaamat Ab B,
Kon Kehta Hai Wazaahat Nai Ki Ja Sakti,
.
Baat ye Hai k koi Toot k Chaahay to Sahi,
Her ksi se to Mohabbat Nai Ki Ja Sakti,
.
Aankh Kehti Hay Kahin Or Chalay Jaayen Hm,
Dil ye Kehta Hai k Hijrat Nahi Ki Ja Sakti,
.
Loh-e-Dil par Yehi Tehreer Likhi hay,
….Mohsin….
Ishq Waalon ko Naseehat Nai Ki Ja Sakti.


7.
A Good Daughter Says 2 Her Lover

Haan Ye Sach Ha Tumse Mhbt Hai..
Ye B Sach Hai Tmari Chaht Hai..
Par Mri Zindgi Mai Chahto Ki Kami To Nhi..
Rishte Or B Hain Sirf Tum He To Nai..
Apni Zat K Is Pahlu Se Aj Mlwau Tumhe..
Me Kya Hun Kese Hun Zara Btlau Tumhen..
Me Mri Maa Ki Trbiyt Me Dhala Sancha Hun...
Apne Baba Ki Umedo Se Pur 1 Khaka Hun...
Apne Bhai Ki Gairat Hun Janti Hun Mei..
Mjse He Ha Ghar Ki Izat Manti Hu Mai..
To Behak Jau Mai Ye Kbi Mumkin He Nai..
K Dil Wo Sb B Rkhte Hain,Bus Hum.Tum He Tou Nhi...
Mohabat Wo Nai Jo Rishty Bhula Dyti Ho...
Mhbt Wo Ho Jo Bzurgon Ke Dua Lyti Ho..


8.
Na dil mai dagh chmakty hain

na ankh mai khwab dhmakty hain

os eshq la,hasil k bad
na shoq raha hamai hansny ka

na gulna,melna hota hai

os eshq la,hasil k bad
by palwasha kakar


9.
Meri Zindagi Mujhe Yeh Bata
Mujhe Bhool Kar Tujhe Kya Mila

Meri Hasraton Ka Hisaab De

Dil Tod Kar Tujhe Kya Mila

Tere chaar Din Ke Pyaar Se

Mujhe Umar Bhar Ka Gham Mila

Main Toot Kar Bikhar Gaya

Meri Zindagi Mujhe Yeh Bata

Mujhe Bhool Kar Tujhe Kya Mila.


10.
Reza Reza Sapnon Wale
Toote Chehre Aadhe Log,

Jane Wale Kab Aate Hain
Kyun Karte Hain Wade Log.

Aas Main Bethi Shehzadi Ki
Maang Main Chandi Jhaank Chuki,

Itni Dair Se Kyun Aate Hain Aakhir Ye Shehzade Log ?

Pyar Ki Raah Pe Ungli Thaame,
Andha Dhund Chal Parte Hain,

Na Samjhi Mein Marr Jaate Hain
Hum Se Seedhe Saadhe Log.

No comments:

Post a Comment