Tuesday, 21 February 2012

Beautiful Ever Poetry

1.
Sheher mein ghoom rahi hain shbahatain jhooti,
yahan k log bhi jhootay inayatain jhooti,

Ab uski aankh mein bhi khwaab hain adhooray se,
k us ne mujh se bhi kein thein mohbatain jhooti,

kisi ki ek nazar dey gaai hai ye ehsaas,
k jaisay kaati ho sari musaftain jhooti,

Ye chaand aaj ki shab phir safar pe nikla hai,
main us mein dhoondh raha hun wo sooratain jhooti........!!!


2.
"خواب مرتے نہیں۔۔۔"

خواب دل ہیں نہ آنکھیں نہ سانسیں کہ جو
ریزہ ریزہ ہوئے تو بکھر جائیں گے
جسم کی موت سے یہ بھی مرجائیں گے
خواب مرتے نہیں

خواب تو روشنی ہیں، نوَا ہیں، ہوا ہیں
جو کالے پہاڑوں سے رکتے نہیں
ظلم کے دوزخوں سے بھی پھُکتے نہیں
روشنی اور نوَا اور ہوا کے علَم
مقتلوں میں پہنچ کر بھی جھُکتے نہیں
خواب تو حرف ہیں
خواب تو نُور ہیں
خواب سُقراط ہیں
خواب منصور ہیں
احمد فراز


3.
Kuch door hamare saath chalo, Hum dil ki kahani keh denge,
Samjhey na tum jisey aankhon se, Woh baat zubaani kehd denge..

Jo pyaar karege jaanege, Har baat hamari manege,
Jo jaley na ho khudh ulfat mein, Woh aag ko paani keh denge..

Jab pyaas jawan ho jayegi, Ehsaas ki manzil payegi,
Khamosh rahege aur tumhey, Hum apni kahani keh denge..

Is dil mein zara tum baitho to, Kuch haal hamara poocho to,
Hum sada dil hain “Ashk” mager, Har baat poorani keh denge..


4.
اِس کا سوچا بھی نہ تھا اب کے جو تنہا گزری
وہ قیامت ہی غنیمت تھی جو یکجا گزری

آ گلے تجھ کو لگا لوں مرے پیارے دشمن
اک مری بات نہیں، تجھ پہ بھی کیا کیا گزری

میں تو صحرا کی تپش، تشنہ لبی بھول گیا
جو مرے ہم نفسوں پر لب ِدریا گزری

آج کیا دیکھ کے بھر آئی ہیں تیری آنکھیں
ہم پہ اے دوست یہ ساعت تو ہمیشہ گزری

میری تنہا سفری میرا مقدر تھی فراز
ورنہ اس شہر ِتمنا سے تو دنیا گزری


5.
beqarai si beqarari hai
wisl hai aur firaaq taari hai

jo guzaari na ja saki hum se
hum ne woh zindagi guzari hai

us se kahiyo kay dil ki galioN meiN
raat din teri intezari hai

ik mehak samt-e-jaaN se aai thi
maiN yeh samjha teri sawari hai

haadisoN ka hisab hai apna
warna har aan sab ki baari hai

bin tumhare kabhi nahiN aai
kya meri neend bhi tumhari hai

nigharay kya hue keh logoN par
apna saaya bhi ab to bhari hai

khush rahe tu ke zindagi apni
umr bhar ki ummeed wari hai

aap meiN kaisay aauN mein tujh bin
saaNs jo chal rahi hai aari hai


6.
Mein Nafraton Ke Jahan Mein Reh Kar Juda Karunga To Kya Karunga,
yeh Theek Kehtey Ho Bewafa Hoon Wafa Karunga To Kya Karunga..

Bas ek Tu Hi To Reh Gaya Hai Jahan Sara Kho Chuka Hoon,
Tujhay Bhi Apni Anaa Mein Aa Kar Khafa Karunga To Kya Karunga..

Hazar Sajday To Kar Chuka Hu Qaza Tumhari Mohabbat Mein,
Mein Ab Dikhawey Ka Koi Sajda Adaa Karunga To Kia Karunga..

Baghair Pani Ke Koi Machhli Bhala Kabhi Reh Saki Hai Khalid.
Mein Tujhko Kho Kar Kisi Ka Ho Kar Bata Karunga To Kya Karunga..


7.
na aana tera ab bhi dil ko tadpa hi jata hain
tere aane pe dil ko sukoon aa hata hain

bahut pehle hi baat hain ab to yaad bhi nahi
kabhi yaad aaye to dil se dhuaa uthta hi jata hain

unko kya pata kya haal hai humara aajkal
kitna roka per dil ka dard aansuo me dhalta hi jata hain

kitni pareshani kyu na aa jaye zindagi me
sucche insaan ko khuda rasta dikha hi jata hain

kitna bhi kaato se bhara rasta kyu na ho pyar ka
kismat wala apni manzil ko paa hi jata hain

ye duniya jitni shareef dikhti hai utni hai nahi
log chalakiya karte hai aur "DEV" dhokha kha hi jata hain


8.
Ranjish hi sahi dil hi dukhany k liye aa

aa phir e mjhy chor k jany k liye aa

pehly se marasim na sahi phir b kabi to

rasm-o-rahy dunya hi nibhany k liye aa

kis kis ko bataen ge judai ka sabab hum

tu mujh se khafa hai to zamany k liye aa

ab tak dil-e-khush fehem ko tujh se hain umeeden

ye aakhri shammen b bujhany k liye aa


9.
Jab mai ne us se poocha tha..!!
Kya dhoop mein baarish hoti hai....??
Woh hanstay hanstay ronay lagi
Aor dhoop mein baarish honay lagi....!!
Nazuk c kali murjha c gayi
... Aur ro kr mujh se kehnay lagi.....!!
Tum chorr na jana o sajan...!!
Dil torr na jana o sajan...!!
Tum kya jano
Dhoop ki baarish ko....??
Tum kya jano
Hijr ki garmi ko...?? Jab tum door thay mujhse o sajan....!!
Mere haath ki choorri aor kangan
Jab geet tumhare gaatay thay...!!
Mujhe yaad boht tum aatay thay...!!
Mai hanstay hanstay roti thi....!!
Aor dhoop mein baarish hoti thi....!!


10.
tumharay wastay jitni duaien soch rakhi hain,,,
agar likhna unhn chahn,,,
bari si mukhtasar si yeh zindagi mehsoos hoti hay,,,
so,,,
2 misroun main mere yeh haseen jazbay samjh laina,,
tumhari raat tehray paaniyou k shor jaise ho,,,,
tumhara din tumharay bachpanay ki eid jaisa ho......

No comments:

Post a Comment