Thursday 23 February 2012

Very Nice Poetry

1.
Ab Us Ko Kho Rahi Hoon Bare Ishtiaq Se
Woh Jis Ko Dhoondne Mein Zamana Laga Mujhe


2.
Ek Umar Beet Chali Hai Tujhay Chahtay Hue 
Aur Tu Aaj Bhi Be-Khabar Hai, Kal Ki Tarah


3.
Kitny anmol hoty hain yh muhabbat k rishty bhi
Taluq toot bi jay tu chahat phir bhi rehti hai


4.
rafta rafta bujh gaya akhir chiragh-e-arzo mohsin
pehly dil khampsh tha ab zindagi khamosh hai.........


5.
Tum he ny sawar kia tha muhabt ki kashti pe ..........

Ab nazrein na chura muje dobta b dekh.


6.
Tu Dil Pe Bojh Le Ke Mulaaqaat Ko Na Aa
Milna Hai Is Tarah To Bichharna Qubool Hai...!


7.
Ay tabeeb!!! Ab to ker de Dard-e- Dawwa-e-Dil....
Agli bar Toba!!! mein Mohabbat na karu ga....!!!!


8.
Batao Hain na, Mery Khawab Jhooty……?
K jab bi Dehka Tuje Apne sath Dhekha……!!


9.
Janay wale dil ko Pathar kar gay...........

Phir kisi ko Daikh kar Dharka he nahi........


10.
chehra kholee kitab hay onwan kuch bhe
jis rukh say bhe parho gay hamay jan jao gay


11.
mujh ko fursat mein apny halaat per....
tu na aey to reham aata hai.....


12.
Ijazat ho to Tere chehre ko khwabo me dekhlu,
ik muddat hui in aankho ne koi apna nahi dekha…


13.
Na Raha Kero UDAS Kisi Bewfa ki Yad Mein
A JaVeD
Wo Khush hy Apni Dunia Mein Teri Duniya Ko Ojar Kr


14.
Bhool jana tou rasm-e-duniya thi
kuch to duniya sy alag kia hota ....


15.
logon sy kaha tum ney logo sy suna tum ney
kuch hum sy kaha hota kuch hum sy suna hota...


16.
is saleeqy sy yaad aaty ho
jesy barish ho wqfy wqfy sy ♥


17.
Abhi khareed lein Duniyaa kahaan ki Mehngi hai
Magar zameer ka Sauda, Buraaaa sa lagta hai.


18.
Khulta kisi py kyun mere dil ka muamlaa..

Sheron k intekhab ne ruswa kia mujhy..!


19.
********NIce***************
Maa Achi Tarah Tyar Karna, Aj Mera Akhri Din Hai,
Bohat Sa Pyar Karna, Aj Mera Akhri Din Hai,

Sabhi Behno Ki Muhabbat Aaj Muje hi Ko Dey Do,
Dil-o-Jaan Nisaar Karna, Aj Mera Akhri Din ha,
...
Abbu ha Ammi ha Behan Bhai ha Saray,
Muj Ko Na Shumar Karna, Aj Mera Akhri Din ha,

Tumhay Staya, Tumhay Rulaya, Bohat Dukh diye hai tum ko,
Mujhe Maaf Meray Yaar Karna, aj Mera Akhri din ha,

Mai Chala KHUDA HAFIZ, Phir Milay Gey Jannat ma,
Maa Akhri Baar Pyar Karna, Aj Mera Akhri Din ha

PAKISTAN ARMY ZINDABA

PAK ARMY ZINDA BAD..



20.
Yaa-Rabb Shab E Visaal Ko Itnaa Taveel Kar !!

Ta-Hashar Masjidoo'n Main Azan E Seher Na Ho



21.
""""""""""""""""""""""AKRAM KAMAL"""""""""""""""""""""""
''''''''''''''''''''''''''''''''''''اکرم کمال""""""""""""""""""""""""""""""

Bus hochuka Nibah bahot Zindagi ke saath
Banti nahi zara bhi meri iss Moyi ke saath
بس ہو چکا نباہ بہت زندگی کے ساتھ
بنتی نہيں ذرا بھی مری اس موئی کے ساتھ

Hungaama ho raha hay Galat ! mere naam par
Mai'n Uzr de raha hu'n badi Aajizi ka saath
ہنگامہ ہو رہا ہے غلط ميرے نام پر
ميں عذر دے رہا ہوں بڑی عاجزی کے ساتھ

Kitna Ajeeb Shahr ka Mahol ho gaya.........?
Dushman bhi mil raha hay Galey Dosti ke saath
کتنا عجيب شہر کا ماحول ہو گيا
دشمن بھی مل رہا ہے گلے دوستی کے ساتھ

Aaqil ko Aql, Daana ko Daanayi so'np kar
Paymaan humne Bandha hay Aashuftagi ke saath
عاقل کو عقل، دانا کو دانائی سونپ کر
پيمان ہم نے باندھا ہے آشفتگی کے ساتھ

Uske Galey mey rehti hay Devi Sarasvati....!
Rooh phonkta hay Sher mey wo Naghmagi ke saath
اس کے گلے ميں رہتی ہے ديوی سرسوتی
روح پھونکتا ہے شعر ميں وہ نغمگی کے ساتھ

Shyad meri Zabaan se phir SACH nikal gaya
Fitrat nahi badalti hay....Farzaangi ke saath
شايد مری زبان سے پھر "سچ" نکل گيا
فطرت نہيں بدلتی ہے فرزانگی کے ساتھ

Behrupiyyat ka jab se Mukhota utar gaya....!
Aay'ina dekhta hay mujhe Berukhi ke saath
بہروپيت کا جب سے مکھوٹا اتر گيا
آئینہ ديکھتا ہے مجھے بے رخی کے ساتھ

Samjhe baghyer Bol diya aur Pha'ns gaye !
Hota hay ayesa Haadsa bhi Aadmi ke saath
سمجھے بغير بول ديا، اور پھنس گيے
ہوتا ہے ايسا حادثہ بھی آدمی کے ساتھ

Naqd-o-Nazar ki hun ko Wiraasat nahi mili
Ha'n...Iktesaab-e-Faiyez kiya hay kisi ke saath
نقد و نظر کی ہم کو وراثت نہيں ملی
ہاں ! اکتساب فيض کيا ہے کسی کے ساتھ

Naadaaniyuo'n ke baad hi to AQL aayi hay
Abb Raasta mila hay mujhe Raushni ke saath
نادانيوں کے بعد ہی تو عقل آئی ہے
اب راستہ ملا ہے مجھے روشنی کے ساتھ

Shikwey Giley to hote hi rehte hai'n Pyaar mey
AKRAM KAMAL Khush hay bahot Zindagi ke saath
شکوے گلے تو ہوتے ہی رہتے ہيں پيار میں
اکرم کمال خوش ہے بہت زندگی کے ساتھ



22.
Yoon Bhi Khizaan Ka Roop Suhana Laga Mujhe
Har Phool Fasl-e-Gul Mein Purana Laga Mujhe,

Main Kiya Kisi Pe Sang Uthane Ki Sochta
Apnaa Hi Jism Aayena Khana Laga Mujhe,

Aye Dost Jhoot Aam Tha Duniya Mein Is Qadar
Tune Bhi Sach Kaha To Fasaana Laga Mujhe,

Ab Us Ko Kho Raha Hoon Bare Ishtiaq Se
Woh Jis Ko Dhoondne Mein Zamana Laga Mujhe,

"Mohsin" Hajoom-e-Yaas Mein Marne Ka Shaoq Bhi
Jeene Ka Ek Haseen Bahana Laga Mujhe.



23.
Agar`che Zor Hawaaon Ne Daal Rakha Hai
Magar Charagh Ne Logo Sambhaal Rakha Hai,

Muhabbaton Mein Milna Hai ya Ujar Jaana
Mizaaj-e-Ishq Mein Kab Atedaaal Rakha Hai,

Hawa Mein Nasha Hi Nasha Fiza Mein Rang Hi Rang
Yeh Kis Ne Peerhan Uchaal Rakha Hai,

Pehle Dino Ka Bharosa Hi Kiya Rahen Na Rahen
So Maine Rishta-e-Gham Bahaal Rakha Hai,

Hum Aise Saada Dilon Ko Woh Dost Ho K Khuda
Sabhi Ne Wada-e-Fardaa Pe Taal Rakha Hai,

Hisaab-e-Lutf-e-Hareefaan Kiya Hai Jab Tu Khula
Kay Doston Ne Ziyaada Khiyaal Rakha Hai,

Bhari Bahaar Mein Ek Shaakh Par Khila Hai Gulab
Kay Jaise Tune Hatheli Pe Gulaab Rakha Hai,

"Faraz" Ishq Ki Duniya To Khubsoorart Thi
Yeh Kis Ne Fitna-e-Hijr-e-Wisaal Rakha Hai



24.
Mohabbat Tum Se Hai Yeh Maanti Hoon Main
Chahat Bas Tumhari Hai Yeh Janti Hoon Main,

Aao Apni zaat K Us Pehlu Se Milaaon Tumhen
Main kiya Hoon Aur kon Hoon Yeh Bataaon Tumhen,

Mein Apni Maa ki Tarbiyat mein Dhala Ek Saancha Hoon
Apne Baba ki Umeedon Se Pur Aik khaaka Hoon Main,

Apne Bhai ki Ghairat Hoon Yeh Jaanti Hoon Main
Is Ghar ki Izat Hoon Yeh Maanti Hoon Main,

To Pher Behek Jaaon? Pher Main Yeh Mumkin Hi Nahi
Rishte Aur Bhi To Hain Sirf Tum Hi To Nahi
Mohbabbat Unhe Bhi Hai Sirf Tum ko To Nahi.



25.
Dukh he esa tha k roya tera Mohsin vrna..

Gham chupa k hanstay usay aksar dekha.



26.
Apni halat ka khud Ehsaas nhi hai mujhko,
Auron sey suna hai k preshan hon mein!!!.



27.
╔══════════════════╗
║.(¯`♥´¯)´´¯`•°*”˜˜”*°•. ƸӜƷ
║.`*.¸.*.•°*”˜˜”*°•.ƸӜƷ
║.•°*”˜˜”*°•.ƸӜƷ ✶* ¸ .✫ ♥
║Kaisi guzar rahi hay... sabhi poochtay to hain.....
Kaisay guzaarta hoon.. koi poochta nehi......!!



║ ´´¯`♥ ღunknown ღ ♥ •°*”˜˜”*°•. ƸӜƷ
╚═════════════════════════════════╝



28.
‎^^^^^^^^^^^^^^^^^^
phir kahan hisaab rhta ha
Ishq jab byhisab ho jaye ! ♥
^^^^^^^^^^^^^^^^^^



29.
Dil Tha Akela aur gham Thay hazaron,
Akelay ko mil Ker Hazaron Ne Loota...!



30.
Wo tum ko bhoolay hey, to tum par bhi lazim hai

dosto…

Khaak daal, aag lga, naam na lay, yad na kr…

Beautifull Picture Poetry

























Awesome Poetry